Mita de apni hasti ko gar martaba chahiye,
ke dana khak me milkar gule gulzar hota hain.
Apni zameen, apna naya aasman paida kar,
Mangane se zindagi kab milti hai E dost,
Khud hi apna naya itihaas paida kar.
Nigaho mein manzil thi
gire aur gir kar sambhalte rahe
hawao ne bahut koshish ki
magar chirag aandhiyo mein bhi jalte rahe
saahil jo samajh le moujon ko
kya khouf use tufaano se
mar kar hi to jeena hai
jeena hai yeh sikh liya parvaano se
Manzil unhi ko milti hai
Jinke sapno me jaan hoti hai
Pankh se kuchh nahi hota
Hauslon se udaan hoti hai