some hindi couplets

na karoon bharosa haath ki lakeeron par, na sitaron par
hume to chalana hai in sitaron ko apne isharon par

-----------------------------------
Ye seediyan unhe mubaarak jinhe chhat par jaana hai,
Jo aasma ki aarzu rakhte hain, unhe apna raasta khud banana hai

-----------------------------------------


Kinaro se aye Nakhuda Mujhko door hi rakh,
Le chal mujhe waha Jahan toofaan uthte ho

--------------------------------

Jindag
i ki asli udaan abhi baaki hai
Jindagi ke kai imtehan abhi baaki hai
Abhi to naapi hai mutthi bhar zamin humne
Abhi to sara aasman baaki hai

-------------------------------------
-----


Mushkile dilo ke iraade azmayegi
Khwaabo ke parde nigaaho se hatayegi
Girkar tujhe hai sambhalna
Yeh thokaren hi tujhe chalna sikhayegi
-------------------------------
----------

1 comment:

Unknown said...

Bahut khoob... Umda shayiri ko mera salaam!